ajiib tajurbaa thaa bhii.D se guzarane kaa
February 22nd, 2008 by adminajiib tajurbaa thaa bhii.D se guzarane kaa
use bahaanaa milaa mujh se baat karane kaa
phir ek mauj use khii.nch le ga_ii tah-e-aab
tamaashaa Khatm huaa Duubane ubharane kaa
[tah-e-aab = underwater]
mujhe Khabar hai ki rastaa mazaar chaahataa hai
mai.n Khastaa_paa sahii lekin nahii.n Thaharane kaa
[Khastaa_paa = tired]
thamaa ke ek bikharataa gulaab mere haath
tamaashaa dekh rahaa hai vo mere Darane kaa
ye aasmaa.N me.n siyaahii bikher dii kis ne
hame.n thaa shauq bahut is me.n rang bharane kaa
bas ek chiikh girii thii pahaa.D se yakalaKht
ajab nazaaraa thaa phir dhundh ke bikharane kaa
Posted in Urdu Poems |